Saturday, May 14, 2016

Aur Kami Thi..?

Ulfat ka diya jala kar chod aaye hum
Us bazm mein jahan pyar ki kami thi.

Thy sukhanwar bahut uss bazm-e-duniya mein, 
Jo thi wahan per woh insaan ki kami thi.

Khoobsoorti toh lut rahi thi zarre zarre mein, 
Ankhen mili thi lekin deedar ki kami thi.

Roya bahut hoon mai bhi tere shab-e-gham mein, 
Khoon-e-jigar mila tou ansuon ki kami thi.

Tarkash me mere teer kam nahi thy "Ashi", 
Dost tou mile hain dushmano ki kami thi. 

Lutf -E-Jalwa

Kya zindagi lutf-e-jalvaa ban ke reh gayi hai
Jeene ki khawahish kya tamanna ban ke reh gayi hai

Log sab aayina-e-bahaar jaanete hai jise
Wo sabr-o-kanton ka haar ban ke reh gayi hai

Mili thi jo bhi virasat mein khushi
Ab wo mehaz ek armaan ban ke reh gayi hai

Ek wajood mila tha insaan-o-ashraful makhluqat ka
Firouniyat se milkar haiwaniyat ban ke reh gayi hai

"Aashi" ye soch ke mayus na ho jana kabhi ke
Uski manzil bhi ab khawab ban ke reh gayi hai 

Haiku

Butterfly flutters 
Flower dances with a smile
Fragrance say try try