Saturday, May 14, 2016

Lutf -E-Jalwa

Kya zindagi lutf-e-jalvaa ban ke reh gayi hai
Jeene ki khawahish kya tamanna ban ke reh gayi hai

Log sab aayina-e-bahaar jaanete hai jise
Wo sabr-o-kanton ka haar ban ke reh gayi hai

Mili thi jo bhi virasat mein khushi
Ab wo mehaz ek armaan ban ke reh gayi hai

Ek wajood mila tha insaan-o-ashraful makhluqat ka
Firouniyat se milkar haiwaniyat ban ke reh gayi hai

"Aashi" ye soch ke mayus na ho jana kabhi ke
Uski manzil bhi ab khawab ban ke reh gayi hai 

No comments:

Post a Comment